Mere jeevan ka maksad tu hai
Mere jeene ka kaaran tu hai
Main jeeyoon ya maroon, wo tere liye
Tu mera Prabhu
Pichhla sab bhoolkar, main aage dauda chaloon
Jo mere liye dhan tha, usko main tyaag doon
Ki main paoon usse puraskaar, dauda main jaoon
Main jeeyoon...
Mujh par hai kripa, bekaar na jaane doon
Jisne mujhe chuna, uski aur main badhoon
Dekhoon teri saleeb par, khincha main jaoon
Main jeeyoon...
Saari srshti ke maalik tumhi ho
Saari srshti ke rakshak tumhi ho
Karte hain tujhko saadar pranaam
Gaate hain tere hi gun gaan
ha... ha... ha... haaleluyyaah
ha... ha... ha... haaleluyyaah
ha... ha... ha... haaleluyyaah
ha... ha... ha... haaleluyyaah
Saari srshti ko tera sahaara
Saare sankat se hamako bachaana
Tere haathon mein jivan hamaara hai
Apni raahon par humako chalaana
Ham hai tere haathon ki rachana
Ham par rahe teri karuna
Tan, man, dhan hamaara tera hai
Inhen shaitaan ko chhune na dena
Ab dur nahin hai kinaara
Dhiraj ko hamaare badhaana
Jivan ki hamaari is naiyya ko
Bhav saagar mein khone na dena